Sunday, April 11, 2010

Composed this poem a week ago. That very nite i shared it with Bhandari and Ipsit. 
I was all senti and yeah i cried.( after a long time i guess ). 
I drew inspiration from some farewell songs like College Days by Gaurav and a few other things
And all the things here have occurred at some point... a few have of them have happened too often.
So its all the experiences with you guys that have been put into words. 
Couldn't have been possible without you all. 

Pata nahin ha aisa bhi din aayega
Jab charo taraf sanata chha jayega
Aane se pehle they kai sapne sajaye
Kuch khoye, kuch paaye

Lagta tha kab hoga yeh waqt pura,
Par aaj kyun lagta hai, reh gaya kuch adhura

Ab kaun hume chane k jhad p chadayega
Aur kaun raat ko fone karke pakayega
Kaun hamare naye naam banayega
Test mein kaun chapvayega

Timepass k liye mein kisise ladoonga
Cricket ki woh saari baatein kisse karoonga
Kiski lagoonga ab mein proxy
Aur kisse program banvaonga ??

Raat ko 3 baje maggi banegi ?
Juhu beach pe kya meri nishani rahegi ?
Yaar paise nahin hai, tu bhar de
Yeh raha assignment , chaap le

Kaun fail hone p dilassa dega
Zyada number aane pe wohi galliyaan dega
Kaun mere gane record karega
2Rs. Contri karke thumps-up kaun piyega

Xams Ki raat mein NM-Quad mein kaise Padhenge
Hey bhagwan KT bacha le, Ye kaise Ratenege ?
Yeh question pakka hai aisa kaun batayega
Sir "Open book test" kaun chilayega

Ek ghante k lecture mein dekhna ghadi baar baar
Aur karna lecture khatam hone ka intezaar
Uski ek jhalak dekhne roz college jaana
Aur dekhte dekhte attendance bhool jaana
(233 sir 233 :P)

Ek Last P.J. bol k 1 ghanta Kaun Hasayega
Salla Last din pe senti hoke kaun rulayega
Kaun Himesh Ki Movie Dekhne Aayega
Aaj K Baad Kabhi Gaana Mat Gaana Aisa Kaun Batayega

Mithibai Ka SoyaBean Bada Yaad Aayega
Baarish Mein football Kya ab ho payega ??
"Tu Fattu Hain, Kar ke Kaun Chidayega"
Doston K Liye Ab Professor Se Kaun Lad Payega

Meri Khushi Mein Mujh Se Zyada Khush Kaun Hoga
Mere Gham Mein Mujh Se Zyada Dard Kise Hoga

The Lines which i received over SMS.
I must thank Ghanshyam for this.

Zindagi  bhi aise mukam par pahunch jayegi
Dosti to sirf yaadon mein reh jayegi
Har cup coffe yaad doston ki dilayegi
Aur haste haste phir aankhen nam ho jayegi
Office k chamber me classroom nazar aayegi
Par chanhe par bhi proxy nahi lag paayi
Paisa to bahut hoga...magar unhe lutane ki wajah hi kho jayegi
Jee le is pal ko mere dost
Kyunki zindagi ye pal ko phir se nahi
dohrayegi







Locations of Site Visitors